Teri Nazar Ka Ishara Lyrics
teri najar ka ishara dil par mere cha gaya hai
  aankho me teri samakar dil mera ye kho gaya hai
  tune bhi janeja mujhpe jadu ye kaisa kiya hai
  mujhse churakar mujhi ko
  khud se begana kiya hai o teri najar ka ishara
  
  taro me tu hai najro me tu hai
  har aur sath tera dekhu jidhar bhi
  aaye najar ye pyara sa mukhda tera
  tujhko churakar tujhi se dhadkan me yu rakh liya hai
  aankho me teri samakar dil ye mera kho gaya hai
  o teri najar ka ishara
  
  aankho ke raste dil me utar ke
  sanso me tu bas gaya
  har pal suhana hone laga hai
  janam jo tu mil gaya
  teri mohabbat me ab to
  pagal ye dil ho gaya hai
  mujhse churakar mujhi ko
  mujhse begana kiya hai
  teri najar ka ishara
  
  chute na ye apna daman kabhi ye
  aao ye khaye kasam
  sajan hamare tumhare sahare
  gujre mera har janam
  ek pal bhi dur mujhse
  hona nahi sathiya re
  aankho me teri samakar
  dil mera ye kho gaya hai
  tune bhi janeja mujhpe
  jadu ye kaisa kiya hai 
  aankho me teri samakar
  dil ye mera kho gaya hai 
  o teri najar ka ishara
                            
                            
                        