Woh Kagaz Ki Kashti Lyrics

ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo bhale chhin lo mujh se meri jawani magar mujhko lauta do bachpan ka saawan wo kagaz ki kashti, wo baarish ka pani wo kagaz ki kashti, wo baarish ka pani mauhalle ki sabse purani nishani wo budhiya jise bacche kahte the naani wo naani ki baato me pariyo ka dera wo chehre ki jhuriyo me sadiyo ka phera bhulaye nahi bhul sakta hai koi wo chhoti si raate, wo lambi kahani wo chhoti si raate, wo lambi kahani kadi dhup me apne ghar se nikalna wo chidiya wo bulbul wo titli pakadna wo gudiya ki shadi pe ladna jhagadna wo jhulo se girna wo girke sambhalna wo pital ke chhallo se, pyare se tohfe wo pital ke chhallo se, pyare se tohfe wo tuti huyi chudiyo ki nishani wo kagaz ki kashti, wo baarish ka pani wo kagaz ki kashti, wo baarish ka pani kabhi ret ke unche tilo pe jana gharonde banana, banake mitana wo masum chahat ki tasveer apni wo khabo khilaune ki jaahgir apni na duniya ka gham tha na rishto ke bandhan badi khubsurat thi wo zindgani badi khubsurat thi wo zindgani