Gham Bhi Na Ho Lyrics
gham bhi na ho tumhe kabhi jo
  tanhayi mehsus ho
  milna hai ek din humko
  milna hai ek din humko
  are kabhi na kabhi milegi khushi
  tum yu na maayus ho 
  dil me na rakho tum gham ko
  ha milna hai ek din humko
  
  duniya ka dar dil me lana chhod de hum
  o diware khinche zamana, tod de hum
  ye hume ho yaki, aaj hai jo sitam
  wo rahega nahi
  raho na gumsum tanhai se tum
  itne na maayus ho
  milna hai ek din humko
  ha milna hai ek din humko
  
  are logo ki hai kadwi baate, kyu ye soche
  o kitni andheri hai raate, kyu ye soche
  raat hai jo ghani, hum chale hai liye
  dil me to roshni
  andhere kahan thahrenge jaha
  dil ka ye faanus ho
  milna hai ek din humko
  ha milna hai ek din humko
  gham bhi na ho tumhe kabhi jo
  tanhayi mehsus ho
  milna hai ek din humko
  milna hai ek din humko
  are kabhi na kabhi milegi khushi
  tum yu na maayus ho 
  dil me na rakho tum gham ko
  ha milna hai ek din humko
                            
                            
                        