Mayusi Ki Barf Lyrics
mayusi ki barf padi thi
  mayusi ki barf padi thi
  lekin mausam sard na tha
  aaj se pahle dil me yaaro
  aaj se pahle dil me yaaro
  itna thanda dard na tha
  mayusi ki barf padi thi
  lekin mausam sard na tha
  
  tanhayi ki bojhal raate
  pahle bhi to barsi thi
  tanhayi ki bojhal raate
  pahle bhi to barsi thi
  pahle bhi to barsi thi
  zakhm nahi the itne kaatil 
  zakhm nahi the itne kaatil 
  gham itna bedard na tha
  aaj se pahle dil me yaaro
  aaj se pahle dil me yaaro
  itna thanda dard na tha
  mayusi ki barf padi thi
  lekin mausam sard na tha
  
  firte hai ab ruswa hote
  kal tak ye raftar na thi
  firte hai ab ruswa hote
  kal tak ye raftar na thi
  kal tak ye raftar na thi
  shehar me the sab raste kal bhi
  shehar me the sab raste kal bhi
  dil aanwara dard na tha
  aaj se pahle dil me yaaro
  aaj se pahle dil me yaaro
  itna thanda dard na tha
  mayusi ki barf padi thi
  lekin mausam sard na tha
  
  marne par bhi la deti thi
  diwane ke dil ki aag
  marne par bhi la deti thi
  diwane ke dil ki aag
  diwane ke dil ki aag
  patthrayi thi aankhe lekin
  phul sa chehra jard na tha
  aaj se pahle dil me yaaro
  aaj se pahle dil me yaaro
  itna thanda dard na tha
  mayusi ki barf padi thi
  lekin mausam sard na tha
  lekin mausam sard na tha
  lekin mausam sard na tha