Puchho Naa Kya Hotee Hain Dil Kee Lagee Lyrics
puchho na, puchho na kya hoti hai dil ki lagi
  puchho na kya hoti hai dil ki lagi, dil ki lagi 
  aag bhi thandi lage o barf bhi jalne lage
  wo kadam jo ruke
  ho raah bhi chalne lage, ho kya kehna
  puchho na kya hoti hai dil ki lagi, dil ki lagi
  puchho na kya hoti hai dil ki lagi, dil ki lagi
  
  sanam teri meri najar takraayi thi
  dilo me anjaani bekhudi chhaayi thi
  wo tanhaayi ke pal, wo barsaato ke din
  wo bechaini waale mulakato ke din
  wo tera milke sharmana 
  wo meri ghabraayi aankhe
  wo chahat ke gulbutto se dahakti dono ki saanse 
  kya kehna
  puchho na kya hoti hai dil ki lagi, dil ki lagi
  
  pyaar bhi karte the, gila bhi karte the
  khafa bhi rehte the, mila bhi karte the
  ye waada karte the kabhi ns ruthenge
  wafaa ke dhaage hai kabhi na tutenge
  teri hi khushbu aati hai
  bada mujhko tadpaati hai 
  abb to bas yaade aati hai
  rula ke mujhko jaati hai, kya kehna
  puchho na kya hoti hai dil ki lagi, dil ki lagi
  puchho na kya hoti hai dil ki lagi, dil ki lagi
  dil ki lagi, dil ki lagi, dil ki lagi
                            
                            
                        