Falsafi O Falsafi Lyrics

falsafi o falsafi kis taraf hai tera ishara kya soya kal aankhe mal jagne ko hai dobara suno suno kya kahti in bejaban patthar ki jaba hai jinki chahat jawa jawa, unhi phulo ka ye gulsita diye sadiyo pehle huye the jo roshan diye phir wahi jagmagane lage hai kare benajar pe gaye jo najar ko najar phir wahi aane lage hai ye hai do dilo ki mohabbat ka mandir nishani har inki yaha bolti hai wo chup ho gaye hai, jo kuchh kehte kahte wahi to samy ki jaba bolti hai kal raat is kile me manayi jo diwali aaj uski badhayi dene aayi subah ki rani khabar sunke hairan hai log saare hakikat hai kya janana chahte hai jo kal raat ko chand aankho ne dekha kahi maujsa dekhna chahte hai baya unki pakij ki ka ho kaise ek tha beganga to ek tha sangam nahi jaat maddham nahi dakhl dete jaha pyar mein do dilo ka ho sangam chahat ki jadugari dekhne ko umad pada hai jaha nahi ye sirf ek daasta, hakikto ka hai ye baya ye naa samajho gujar gaya hai wakt log gujre thehar gaya hai wakt aaj aur kal ke darmiya ki sabhi duriya dur kar gaya hai wakt naa baandhe bandhi hai samay ki ye dhara ye sadiyo ke tinke bahe jaa rahe hai naya rup lekar naye naam lekar wahi log apne ko dohra rahe hai naya rup lekar naye naam lekar wahi log apne ko dohra rahe hai