Majburiya Meri Bhi Thi Majburiya Lyrics
majburiya meri bhi thi, majburiya teri bhi thi
  ha majburiya meri bhi thi, majburiya teri bhi thi
  chaha tujhe tu na mili, suni rahi dil ki gali
  aisi chali paagal hawa, tu ho gayi mujhse juda
  na tu ruki na main ruka, aur fasla badhta gaya
  badhti gayi ye duriya, majburiya
  
  tere bina jina yaha, pal pal mera dushwar hai
  tere bina jina yaha, pal pal mera dushwar hai
  meri nahi tu ho saki, phir bhi mera tu pyar hai
  khamosh hu rota nahi, par gum mera jata nahi
  na tu ruki na main ruka, aur fasla badhta gaya
  badhti gayi tanhaiya, majburiya
  
  bejaan hai ye zindagi, naraz hai har ek khushi
  bejaan hai ye zindagi, naraz hai har ek khushi
  teri yaad yu ab aayegi, ye jaan bhi le jayegi
  aankhe meri bujhne lagi, dhundhla hua saya tera
  na tu ruki na main ruka, aur fasla badhta gaya
  badhti gayi viraaniya, viraaniya
  majburiya majburiya, mahrumiya mahrumiya
                            
                            
                        