Kalam Hath Me Hai Likhu To Likhu Kya Lyrics
kalam hath me hai likhu to likhu kya
  nahi manta dil dhadkata bahut hai
  kalam hath me hai likhu to likhu kya
  nahi manta dil dhadkata bahut hai
  ise jab bhi padhna akele me padhna
  mere pyar ka khat mehekta bahut hai
  
  kalam hath me hai likhu to likhu kya
  nahi manta dil dhadkata bahut hai
  ise jab bhi padna akele me padna
  mere pyar ka khat mahakta bahut hai
  kalam hath me hai likhu to likhu kya
  kalam hath me hai
  
  kabhi chandni sa bikharta hai jadu
  kabhi phul khilte hai udti hai khushbu
  teri yaad milne ko aati hai jab bhi
  mere ghar ka kamra chamakta bahut hai
  kalam hath me hai likhu to likhu kya
  kalam hath me hai
  
  mujhe lag raha hai meri jindagi me
  andhere ujaale me shamil tumhi ho
  andhere me sanse khankati bahut hai
  ujaale me aanchal dhalkata bahut hai
  kalam hath me hai likhu to likhu kya
  kalam hath me hai
  
  vo chatnar pipal abhi tak wahi hai
  likhe hai jaha naam mere tumhare
  mai jab bhi gujarta hu us raste se
  mujhe dekh ke vo lahakta bahut hai
  kalam hath me hai likhu to likhu kya
  kalam hath me hai
                            
                            
                        