Piya Tora Kaisa Abhiman Lyrics

piya tora kaisa abhiman piya tora kaisa abhiman kisi mosam ka jhoka tha jo is diwar par lataki huyi tasvir tirachhi kar gaya hai gaye sawan me ye diware yu shili nahi thi na jane is dafa kyu in me shilan aa gayi hai darare pad gayi hai aur shilan is tarha bathi hai jaise kushka rukhsaro pe gile aansu bahate hai saghan sawan layi kadam bahar mathura se doli laye charo kahar nahi aaye, nahi aaye keshriya balma humar angana bada sunsan ye barish gungunati thi isi chhat ke mundero par ye barish gungunati thi isi chhat ke mundero par ye ghar ki khidkiyo ke kach par ungli se likh jati thi sandese bilgti rahti hai baithi huyi ab band roshandano ke pichhe apne nayan se nir bahaye, apni jamuna khud aap hi banave apne nayan se nir bahaye, apni jamuna khud aap hi banave duphare aisi lagti hai bina moharo ke khali khane rakhe hai na koi khelane wala hai bazi, na koi chal chalta hai lakh bar usme hi nahaye, pura na huyi asanan phir pura na huyi asanan sukhe kesh rukhe besh manva bejan na din hota hai ab na rat hoti hai sabhi kuch ruk gaya hai wo kya mosam ka jhoka tha jo is diwar par lataki huyi tasvir tirachhi kar gaya hai piya tora kaisa abhiman, tora piya tora, tora, tora, tora kaisa abhiman, piya tora