Sunta Jaa Dildara Sunta Jaa Lyrics
sunta ja sunta ja dildara sunta ja, dildara dil ki sunta ja
  kahta ja kahta ja dildara kehat ja, dildara dil ki kehta ja
  yun na chupa na muskura, hamko bata dil me hai kya ho yara
  bati khushi ham ne teri, gum me tere shamil tu karle yara
  sunta ja sunta ja dildara sunta ja, dildara dil ki sunta ja
  
  mana ke raho me kante the pairo tale
  kante kuchal ke jo aage bade wo hai dum
  mana ke har ek kadam pe the sholay jale
  sholay buja ke jo aage badhe wo hai dum
  sholo me jal kanto pe chal manjil teri duniya badal de yara
  bati khushi ham ne teri, gum me tere shamil tu karle yara
  sunta ja sunta ja dildara sunta ja, dildara dil ki sunta ja
  
  manake aankho me aansu nahi hai tere
  aankho ko kaise chalakne se rokenge ham
  har gam ko tu muskurake sahe to sahe
  dil to tadapta hai dil ko na tokenge ham
  tu hi to hai meri khushi meri hansi tu mera dum hai yara
  bati khushi ham ne teri, gum me tere shamil tu karle yara
  sunta ja sunta ja dildara sunta ja, dildara dil ki sunta ja
  kehta ja kehta ja dildara kehat ja, dildara dil ki kehta ja
  yun na chupa na muskura, hamko bata dil me hai kya ho yara
  bati khushi hamne teri, gum me tere shamil tu karle yara