Tu Kaun Kaha Se Aayi Hai Lyrics
ye tazagi, ye nazuki, ye sadagi
  tu kaun kaha se aayi hai, ye husn kaha se laayi hai

  tera nur nahi insano sa
  kya khuda se milkar aayi hai, kya khuda se milkar aayi hai
  
  teri ankhe bate karti hain, jaise lahre bate karti hain
  kya gujar huwa hai gulshan se, ya phulo se naha ke aayi hai
  tera nur nahi insano sa
  kya khuda se milkar aayi hai, kya khuda se milkar aayi hai
  
  amrit ka ras honto me bhara, kya pakiza hai nam tera
  dhadkan ki tarah se chalti hai, kya dil bankar aayi hai
  tera nur nahi insano sa
  kya khuda se milkar aayi hai, kya khuda se milkar aayi hai
  
  iss jahan me kiski amanat hai, tu kiske dil ki mohabbat hai
  hai kaun nasibo vala jiski, tu dulhan bankar aayi hai