Har Ek Ghar Me Diya Bhee Jale Lyrics
har ek ghar me diya bhi jale anaj bhi ho 
  har ek ghar me diya bhi jale anaj bhi ho 
  agar na ho kahi aisa toh ehtjaj bhi ho 
  agar na ho kahi aisa toh ehtjaj bhi ho 
  har ek ghar me diya bhi jale anaj bhi ho
  
  hukumato ko badalna toh kuchh muhal nahi
  hukumato ko badalna toh kuchh muhal nahi  
  hukumate jo badalta hai woh samaj bhi ho
  hukumate jo badalta hai woh samaj bhi ho
  agar na ho kahi aisa toh ehatjaj bhi ho 
  agar na ho kahi aisa toh ehatjaj bhi ho
  har ek ghar me diya bhi jale anaj bhi ho
  
  rahegi kab talak vado me kaid khushhali
  rahegi kab talak vado me kaid khushhali 
  har ek bar hi kal kyun kabhi toh aj bhi ho
  agar na ho kahi aisa toh ehtjaj bhi ho
  har ek ghar me diya bhi jale anaj bhi ho
  
  na karte shor sharaba toh aur kya karte 
  na karte shor sharaba toh aur kya karte 
  tumhare shahar me kuchh aur kam kaj bhi ho
  tumhare shahar me kuchh aur kam kaj bhi ho
  har ek ghar me diya bhi jale anaj bhi ho
  agar na ho kahi aisa toh ehtjaj bhi ho
                            
                            
                        