Zindagi Ittafaaq Hai, Kal Bhi Ittafaaq Thi Lyrics

zindagi ittafaaq hai, zindagi ittafaaq hai kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai zindagi ittafaaq hai jaam pakad badha ke haath maang dua ghate na raat jaan-e-vafa teri qasam kahte hai dil ki baat ham gar koyi mel ho sake aankho ka khel ho sake apne ko khush nasib jaan vaqt ko meharabaan maan milte hai dil kabhi-kabhi varna hai ajnabi sabhi mere hamdam mere meharabaan har khushi ittafaaq hai, har khushi ittafaaq hai kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai zindagi ittafaaq hai husn hai aur shabaab hai zindagi qaamayaab hai bazm yun hi khili rahe apani nazar mili rahe rag yun hi jamaa rahe vaqt yu hi thama rahe saaz ki lay pe jhum le zulf ke kham ko chum le mere kiye se kuchh nahi tere kiye se kuchh nahi mere hamdam mere meharabaan ye sabhi ittafaaq hai, ye sabhi ittafaaq hai kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai zindagi ittafaaq hai, zindagi ittafaaq hai koi to baat kijiye yaaro ka saath dijiye kabhi gairo se bhi apno ka gumaan hota hai kabhi apne bhi najar aate hai begaane se kabhi khwabo me chamakte hai muraado ke mahal kabhi mahalo me ubhar aate hai viraane se koi rut bhi sada nahi kya hoga kuch pata nahi gum fizul hai gum na kar aaj ka jashn kam na kar mere hamdam mere meharabaan har khushi ittafaaq hai kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai zindagi ittafaaq hai khoye se ho kyu is kadar dhundhti hai kise najar aaj maalum hua pehle ye maalum na tha chahte badh ke pashemaan bhi ho jaati hai dil ke daaman se lipatati hui rangin najare dekhte dekhte anjaan bhi ho jaati hai dekhte dekhte anjaan bhi ho jaati hai yaad jab ajnabi bane yaad jab berukhi bane dil pe seh ja gila na kar sabse haskar mila najar mere hamdam mere meharabaan dosti ittafaaq hai kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai zindagi ittafaaq hai