Aaj Maine Socha Hai Lyrics
Aaj maine socha hai tumko main na chumunga Aaj main toh chumunga uss khuda ke haathon ko Jis khuda ke haathon ne aapko banaya hai Apko banaya hai Aaj maine socha hai tumko main na chumunga Aaj main toh chumunga uss khuda ke haathon ko Jis khuda ke haathon ne aapko banaya hai Apko banaya hai Rakh diya sitaron ka husn tere aanchal mein Bhar diya ghataon ka rang tere kajal mein Mauj teri chuddi hai leher teri jhanjhar hai Chand tere maathe ka jagmagata jhumar hai Chandani zameen par hai ya tumhara saaya hai Aaj maine socha hai tumko main na chumunga Aaj main toh chumunga uss khuda ke haathon ko Jis khuda ke haathon ne aapko banaya hai Apko banaya hai Shaakh se lachak lekar di tumhari baahon ko Ras gulab se lekar di in khaas hothon ko Baadalon ko buna hai kaale kaale baalon mein Is zameen ka sab sona rakh diya hai gaalon mein Rab ne kis mohobbat se aapko banaya hai Aaj maine socha hai tumko main na chumunga Aaj main toh chumunga uss khuda ke haathon ko Jis khuda ke haathon ne aapko banaya hai Apko banaya hai Aap ko banakar wo kitna khush hua hoga Dekh kar tumhe wo bhi muskura utha hoga Kis tarah tumhe usne husn se nawaaza hai Jaan tumpar rakho bhi pyaar aa gaya hoga Kya haseen chehra hai kya haseen kaya hai Aaj maine socha hai tumko main na chumunga Aaj main toh chumunga uss khuda ke haathon ko Jis khuda ke haathon ne aapko banaya hai Apko banaya hai