Dost Milte Hain Bichhadne Ke Liye Lyrics
dost milte hain bichhadne ke liye
  phul khilte hain bikharne ke liye
  aashiya bante ujadne ke liye
  abb samajh aaya ke duniya kya hai 
  abb samajh aaya ke duniya kya hai
  
  ik ubal tha ik junun tha
  mere jism me garm khun tha
  socha kuchh nahi bas nikal gaya
  apni aag me khud hi jal gaya
  apni aag me khud hi jal gaya  
  dhup chadhati hai utar jati hai
  mauj sahil pe thahar jati hai
  baat bhi had se gujar jati hai
  abb samajh aaya ke duniya kya hai 
  abb samajh aaya ke duniya kya hai 
  
  har taraf yaha maut hai ravan
  jindagi mujhe layi hai kahan
  dekha aaina toh mai dar gaya
  jine ke liye kitna mar gaya 
  jine ke liye kitna mar gaya 
  wakt jadu hai yeh chal jata hai
  rup ka rang bhi dhal jata hai
  tap ke loha bhi pighal jata hai
  abb samajh aaya ke duniya kya hai
  abb samajh aaya ke duniya kya hai
  duniya kya hai, duniya kya hai
                            
                            
                        