Aisi Aankhe Nahi Dekhi Lyrics

aisi aankhe nahi dekhi aisi aankhe nahi dekhi aisa kajal nahi dekha aisa jalwa nahi dekha aisa chehara nahi dekha jab ye daaman ki hawa de, aag jungle me laga de jab ye sehraao me jaye, ret me phul khilaye aisi duniya nahi dekhi, aisa manzar nahi dekha aisa aalam nahi dekha, aisa dilbar nahi dekha uske kangan ka khanakna, jaise bulbul ka chehakna uske paazeb ki cham-cham, jaise barsat ka mausam aisa sawan nahi dekha, aisi barish nahi dekhi aisi rim-jhim nahi dekhi, aisi khwahish nahi dekhi uski bebaak si batein, jaise sardi ki ho raatein uff ye tanhayi ye masti, jaise tufan me kashti mithi koyal si hai boli, jaise geeto ki rangoli surkh galo pe pasina, jaise phagun ka mahina aisi ankhein nahi dekhi, aisa kajal nahi dekha aisa jalwa nahi dekha, aisa chehara nahi dekha