Yeh Surkhiya Ye Laaliya Lyrics
ye surkhiya ye laliya ye zulfe bhi hansi
  are hum na chahenge to kisi kam ki nahi
  hum na chahenge to kisi kam ki nahi
  ye surkhiya ye laliya ye zulfe bhi hansi
  hum na chahenge to kisi kam ki nahi
  hum na chahenge to kisi kam ki nahi
  tera to naam pyar ke afsane me nahi
  tera to naam pyar ke afsane me nahi
  budho ko is zamane me koi puchhta nahi
  budho ko is zamane me puchhta nahi
  
  ye mast mast aankhe aur ye rup chulbula
  do pal bhi na rahega ye pani ka bulbula
  are ja itna garur na kar 
  kyu itna garur na kar 
  itna garur na kar karenge 
  itna garur na kar tu 
  o nikharte chaman ha
  o nikharte chaman ha
  are ha o nikharte chaman ha
  jawani char din hai budhapa hajar din
  
  ha ye sokhiya ye mastiya
  inka hai kya yakin 
  are hum na chahenge to kisi kam ki nahi
  hum na chahenge to kisi kam ki nahi
  
  budhe ko phir jawani ka to khayal aa gaya
  ke jaise basi dal me phir ubal aa gaya
  kab ye tera irada kab ye tera irada
  kab ye tera irada kab ye tera irada
  nakam ho jaye ye nakam ho jaye 
  aji nakam ho jaye
  yu dekhte hi teri bolo ram ho jaye
  
  ha mukhde pe kali rat muh me dant bhi nahi
  budho ko is zamane me koi puchhta nahi
  budho ko is zamane me koi puchhta nahi
  
  dhadi ke bal dekh na tu ha dil ka rang dekh 
  mera tu shok dekh ha meri umang dekh
  baho me tujhko apni baho me tujhko apni
  baho me tujhko apni hey ram
  baho me tujhko apni mai to sulaunga
  ha mai to sulaunga are ha mai to sulaunga
  kasam hai tujhko din me hi tare dikhaunga
  
  ishq ka mai aasma tu pyar ki zami
  are hum na chahenge to kisi kam ki nahi
  hum na chahenge to kisi kam ki nahi
  
  chahre pe koi nur na aankho me koi roshni
  jalti hai iske dil me phir bhi aag ishq ki
  chand se andhere ka chand se andhere ka 
  chand se andhere ka chand se andhere ka 
  mukabala hai kya aahe mukabala hai kya
  aji ha mukabala hai kya
  budhe ko dekho ishq ne pagal bana diya 
  ha jidhar gayi jawani teri are tu bhi ja wahi
  budho ko is zamane me koi puchhta nahi
  budho ko is zamane me koi puchhta nahi
                            
                            
                        