Teraa Muskurana, Phir Haske Paas Aana Lyrics

tera muskurana phir has ke paas aana mujhe apna nama batana phir pal me gum ho jana ehsas hai abb bhi uss pehali bar ka kaisa yeh nasha hai tere pyar ka dil se dil mile the jaise do phul khile the tab maine kuchh kaha tha tumhare hoth sile the mujhe yad hai woh lamha intejar ka kaisa yeh nasha hai tere pyar ka chand chehra hai tera, raat julfe hai teri yeh hawa teri khushbu hai yeh samandar ki lehre tere hasne ki dhun hai duniya me bas tu hai tu paas hai toh saans hai, khazana hai dil ke karar ka kaisa yeh nasha hai tere pyar ka kaisa yeh nasha hai tere pyar ka raat gehri hai lekin teri aankho ke aage bas sham si ye lagti hai din suhana agar hai toh tera naam le ke tere pyar se fiza mehkati hai aage hashar kya hoga agar asar hai yeh ek didar ka kaisa yeh nasha hai tere pyar ka tera muskurana phir has ke paas aana mujhe apna nama batana phir pal me gum ho jana kaisa yeh nasha hai tere pyar ka kaisa yeh nasha hai tere pyar ka tere pyar ka, tere pyar ka