Vaah Teraa Kyaa Kahanaa Lyrics

apne rukh se zara parda jo hataya hamne aa chand sa chehra jo mehfil ko dikhaya hamne kisi ki aankh jhuk gayi jhuk gayi kisi ki sans ruk gayi ruk gayi kahi chilman sarak gaya, kisi ka dil dhadak gaya kahi chilman sarak gaya, kisi ka dil dhadak gaya ham aa gaye mehfil me aayega ab maza aage aage dekhiye hota hai kya aage aage dekhiye hota hai kya hota hai kya, hota hai kya, hota hai kya aage aage dekhiye hota hai kya aage aage dekhiye hota hai kya vaah tera kya kehna, arre vah tera kya kehna vaah tera kya kehna, vaah vah tera kya kehna ham to vo hai jo nazaro ka pata dete hai chand suraj ka sitaro ka pata dete hai zid pe aa jaaye to sholo ko bujha dete hai ham to pani me bhi ik aag laga dete hai aise aashiq ko aise aashiq ko ham ungali pe nacha dete hai ha nacha dete hai, ha nacha dete hai sirf kehte hi nahi kar ke dikha dete hai aa tumko is tarah mitaaye ke nishaani na mile tumko aisi jagah maare jahan pani na mile hamko maasum na samajho ki ham chalak bhi hai jitne bhole hai utane hi khatarnak bhi hai are ibtadaa-e-ishq hai rota hai kya, rota hai kya aage aage dekhiye hota hai kya, hota hai kya aage aage dekhiye hota hai kya hota hai kya, hota hai kya, hota hai kya aage aage dekhiye hota hai kya vah tera kya kehna, arre vaah tera kya kehna vah tera kya kehna, vaah vaah tera kya kehna aise vaise kaise kaise ho gaye kaise kaise aise vaise ho gaye mit gaye hamko zamane se mitane vaale bujh gaye shama ke maanid bujhane vaale khak me mil gaye khud khak banane vaale qatl khud ho gaye talvar dikhane vaale chamak sakte hai ye jugnu ujala kar nahi sakte uda ke khak suraj ko ye andha kar nahi sakte, kaun hai jo khud ko raah-e-vafa me mita nahi sakte kabhi vo manzil-e-makasud pa nahi sakte ye char roz ki talvar bandhane vaale kabhi hamare mukabil me aa nahi sakte kabhi bhi aa nahi sakte, haan ji haan aa nahi sakte aagosh me bekhabar sota hai kya, sota hai kya aage aage dekhiye hota hai kya, hota hai kya aage aage dekhiye hota hai kya hota hai kya, hota hai kya, hota hai kya aage aage dekhiye hota hai kya khuda kare ke hasino ke baap mar jaaye aur hamare vaste maidan saaf kar jaaye vaah tera kya kehna, arre vaah tera kya kehna vaah tera kya kehna, vaah vaah tera kya kehna o jaan-e-man jaan-e-man jaan-e-man jaan-e-man dekh aazmayi me, moch aa jayegi kalayi me samane aa jaao jo dulhan banke jaan de dege munh dikhayi me jo achchhe hai unki kahani bhi achchhi ladakpan bhi achchha javani bhi achchhi tere tir ko kyun na dil me jagah de tere tir ko kyun na dil me jagah de nishana bhi achchha nishani bhi achchhi tum apni chahato ko ek hasin mod do logo pe tohmate tum lagana chhod do hota vahi hai jo mazur-e-khuda hota hai taqat ka aur gurur ka ab shisha tod do ye shisha tod do, tum ye shisha tod do allah miya ko sab pata hai socha hai kya aage aage dekhiye hota hai kya aage aage dekhiye hota hai kya hota hai kya, hota hai kya, hota hai kya aage aage dekhiye hota hai kya aage aage dekhiye hota hai kya aage aage dekhiye hota hai kya aage aage dekhiye hota hai kya