Kya Hua Tujhe Lyrics
kya hua tujhe, bechain dil ho raha
  kyu hua bhala, mujhko nahi kuch pata
  aisa bhi kya ho gaya re, jane mujhe kya hua re
  dhadkane badhi, dhadkan to ruk si gayi
  sanso ki kya, sanse bhi bas me nahi
  are re re ye kya hua re wo to nahi ho gaya re
  kya hua tujhe
  
  kitna mushkil chupana, usse bhi mushkil batana
  dil ki bato ko lekin apno se na chupana
  hu kahna chahu mai lekin kuch kaha bhi na jaye
  rog tum ko laga jo usse rab hi bachaye
  iski dawa, iski dawa kuch nahi
  ab hoga kya, are mujhko pata hi nahi
  are re re ye kya hua re, jane mujhe kya hua re
  kya hua tujhe
  
  dil ki bato ko dilbar, jo na hamse kahoge
  dekh na jindagi bhar tum tadapte rahoge
  kaun sa mod hai ye kaisi ye bekhudi hai
  mai kaha hu mujhe to kuch khabar hi nahi hai
  kuch to khabar lo tum jara apne dil ki
  dil to mera ab pas mere nahi tera hua kya karu re
  are re re ye pyar ho gaya re
  tujhse hi pyar ho gaya re
  tujhse hi pyar ho gaya re
  tujhse hi pyar ho gaya re
  tujhse hi pyar ho gaya re
                            
                            
                        