Humne Suna Hai Tumne Jeevan Sathi Chuna Hai Lyrics
hamne suna hai tumne, jiwan sathi chuna hai
  jisko tumne chun hi liya hai, chiz wo kya hai
  hamne suna hai tumne, jiwan sathi chuna hai
  jisko tumne chun hi liya hai, chiz wo kya hai
  kahi hoga na aisa ek bhi, hoshiya bhi hai wo nek bhi
  use dunia me sab kahte hai acha
  kabhi jhuth nahi wo bolta, kabhi jahar nahi wo gholta
  wo dil ka saf hai aur bilkul sacha, samjhe bacha
  hamne suna hai tumne jiwan sathi chuna hai
  jisko tumne chun hi liya hai chiz wo kya hai
  
  ye to bata do hame samjha do, hai kis gharane ka wo
  wo nahi aisa waisa, nahi tumhare jaisa
  hai naye jamane ka wo
  ye to bata do hame samjha do, hai kis gharane ka wo
  wo nahi aisa waisa, nahi tumhare jaisa
  hai naye jamane ka wo
  kahi pada use kya paya tha, ya wo khud rota aaya tha
  hamse to kaho to ham par yaki karlo
  jo tumne ishara hai kiya, maine pahle hi tha kah diya
  ladke ki puri chan been karlo, chup bhi raho
  hamne suna hai tumne, jiwan sathi chuna hai
  jisko tumne chun hi liya hai, chiz wo kya hai
  chiz wo kya hai
  
  chup rahta hai ke bol jata hai, kya bor karta hai wo
  jaye kahi wo jo bat kare to, ek rang bharta hai wo
  chup rahta hai ke bol jata hai, kya bor karta hai wo
  jaye kahi wo jo bat kare to, ek rang bharta hai wo
  indian hai ya angrej hai wo, sidha hai ya tej hai
  himmat wala hai kya mere jaisa, nikamma hai ya kam ka
  pati banega kya bas nam ka
  wo jaisa bhi ho par na ho aisa, aisa waisa
  hamne suna hai tumne jiwan sathi chuna hai
  jisko tumne chun hi liya hai chiz wo kya hai
  ha tumne suna hai, tune bilkul thik suna hai
  maine jiwan sathi chuna hai
  kyu kahu kya hai, chiz wo kya hai
  kyu kahu kya hai, chiz wo kya hai
  kyu kahu kya hai, chiz wo kya hai
                            
                            
                        