Main Kesar Kasturi Mere Surat Ke Diwano Lyrics
mai kesar kasturi meri surat ke diwano
  meri rangat par na jao meri khuhsbu ko pehchano
  mai kesar kasturi meri surat ke diwano
  meri rangat par na jao meri khushbu ko pehchano
  mai kesar kasturi 
  
  kaha kaha se aa jate hai rat ke rahi rang zamane
  jite jinki bhul ki thokar roz ki taza thokar khane
  kuch jane kuch pehchane aur kuch inme anjane
  kuch jane kuch pehchane aur kuch inme anjane
  mai kesar kasturi meri surat ke diwano
  meri rangat par na jao meri khusbu ko pehchano
  mai kesar kasturi 
  
  aankh me jhuthi rangini hai jivan sabka fika fika
  har mathe par laga huya hai gam ke chandan ka ek tika
  apna apna dard chhupaye chalte phirte ye saye
  apna apna dard chhupaye chalte phirte ye saye
  mai kesar kasturi meri surat ke diwano
  meri rangat par na jao meri khusbu ko pehchano
  mai kesar kasturi 
  
  kadam kadam par jinke aise mayusi ke lage hai pehare 
  hath me lekar wo paimane dekh rahe hai khawab sunhare
  pagal man ko yu bahlaye kadam kadam par dhokha khaye