Ae Jaan-E-Wafa Aisa Bhi Kya Tum To Khafa Hum Se Ho Gayi Lyrics
ae jan-e-wafa aisa bhi kya tum to khafa humse ho gaye
  ae jan-e-wafa aisa bhi kya tum to khafa humse ho gaye
  ye tumne kaha tha ke hum hai tumhare
  to hum bhi ye samjhe ke tum ho hamare
  phir hume kis bat ki saja de rahe ho
  ae jan-e-wafa aisa bhi kya tum to khafa humse ho gaye
  
  idhar rah gayi ya udhar rah gayi hai
  kahi kuch kami si magar rah gayi hai
  meri wafa ka ye kya shila de rahe ho 
  ai jan-e-wafa aisa bhi kya tum to khafa humse ho gaye
  
  jaha pyar hoga shararat bhi hogi
  jaha hogi anban mohobbat hogi
  jhuki jhuki aankho se ye pata de rahe ho
  ae jan-e-wafa aisa bhi kya tum to khafa humse ho gaye
  ae jan-e-wafa aisa bhi kya tum to khafa humse ho gaye
                            
                            
                        