Dur Kahin Ik Aam Ki Bagiyaa Lyrics
dur kahi ik aam ki bagiya dur kahi ik aam ki bagiya, bagiya me hai thandi chhaanv chhaanv me ik kachcha rasta, raste me pyara sa gaanv gaanv me ik chhota sa ghar, ghar me ik ujala sa aangan aangan me chandan ka palna, palne me chanda sa munna munne ki aankho me nindiya dur kahi ik aam ki bagiya, bagiya me hai thandi chhaanv chhaanv me ik kachcha rasta, raste me pyara sa gaanv nile-nile aasmaan me taaro ka hai ek nagar jagmag-jagmag ik taare par ik shehzadi ka hai ghar chupke-chupke raat ko uth ke dhyan se dekhe koyi agar jhilmil-jhilmil hai taare me us shehzadi ke jevar shehzadi ithalaaye shehzadi ye gaaye dur kahi ik aam ki bagiya aadhi raat jab ho jaati hai jab duniya so jaati hai taaro se shehzadi utar ke munne ke ghar aati hai mithe-mithe saare sapne apne saath vo laati hai sote munne ki palko pe ye sapne vo sajaati hai sirhane vo aaye haule se vo gaaye dur kahi ik aam ki bagiya