Sansaar Ki Har Shay Kaa Itanaa Hi Fasaanaa Hai Lyrics
sansaar ki har shay ka itna hi fasana hai
  ek dhundh se aana hai ek dhundh me jaana hai
  
  ye raah kaha se hai, ye raah kaha tak hai
  ye raaz koyi raahi samajha hai na jaana hai
  sansaar ki har shay ka itna hi fasana hai
  ek dhundh se aana hai ek dhundh me jaana hai
  
  ek pal ki palak par hai thahari huyi ye duniya
  ek pal ke jhapakne tak har khel suhana hai
  sansaar ki har shay ka itna hi fasana hai
  ek dhundh se aana hai ek dhundh me jaana hai
  
  kya jaane koyi kis pal kis mod par kya bite
  is raah me ai raahi har mod bahana hai
  sansaar ki har shay ka itna hi fasana hai
  ek dhundh se aana hai ek dhundh me jaana hai
  
  hum log khilaune hai ek aise khiladi ke
  hum log khilaune hai ek aise khiladi ke
  jisko abhi sadiyo tak ye khel rachana hai