Kya Huwa Kaho Naa Kaho Lyrics
ye kya ho gaya hai yeh kyun ho gaya
  ab tak yeh mera tha, abb dil kho gaya
  kise kahu na kahu kisko pata, kaise kahu na kahu yeh tu hi bata
  kya huwa kaho na kaho tujhe kya huwa mere yaar
  hame bata kuchh naa chhupa, abb hame bata mere yaar
  
  ye kya ho gaya hai yeh kyon ho gaya
  ab tak yeh mera tha, abb dil kho gaya
  kise kahu na kahu kisko pata, kaise kahu na kahu yeh tu hi bata
  kya huwa kaho na kaho tujhe kya huwa mere yaar
  hame bata kuchh naa chhupa, abb hame bata mere yaar
  
  usne pas aake kuch bhi na kaha, phir bhi sun saka mai har woh dasta
  kya usne bhi woh sun liya, jo maine bhi toh na kaha
  uske pas jake mujhko yu laga, jaise woh mera hai kab se janu na
  kya usne bhi kuchh aisa kaha, ke tu meri hai oh jane jaa
  kya huwa kaho na kaho tujhe kya huwa mere yaar
  hame bata kuchh naa chhupa, abb hame bata mere yaar
  
  ya wo ek pari hai, ya hai mera khwab, palke band karke dekhu bar bar
  pehli bar muhjko yeh kya ho gaya, har pal ab mera yeh uska ho gaya
  kya mai karu na karu mai bekarar, raate jagu na sou na aaye karar
  pyar huwa tujhe toh pyar huwa, pyar huwa mere yaar
  pyar huwa tujhe toh pyar huwa, pyar huwa mere yaar
  yeh kya ho gaya hai yeh kyun ho gaya
  abb tak yeh mera tha, ab dil kho gaya
                            
                            
                        