Kal Tak Mujhko Gaurav Tha Main Devtao Ki Hu Santan Lyrics

kal tak mujhko gaurav tha, mai devtao ki hu santan aaj magar hu aadha janwar, aaj hu mai aadha insan kal tak meri dhadkan, dhadkan jiwan rag sunati thi lekin aaj hai mere ang ang men jaise thanda ek shamshan kaun pukara kaun pukara dekho sab kuch badal gaya koi pichhe chhut gaya hai, koi aage nikal gaya aag ke hai yeh nag ke jo hai, lipte huye mere tan se pairo se aur baju se, aur sine se aur gardan se kaun pukara kaun pukara kal tak mujhko gaurav tha, mai devtao kee hu santan aaj magar hu aadha janwar, aaj hu mai aadha insan kal tak meri dhadkan, dhadkan jiwan raag sunati thi aaj hai mere ang ang men jaise thanda ek shamshan dharti ki aankhen bhigi hai, aur ambar bhi rota hai duniya men koi sab pata hai, aur koi sab khota hai dharti ki aankhen bhigi hai, aur ambar bhi rota hai duniya men koyi sab pata hai, aur koyi sab khota hai jharne ho nadiya ke sagar, sab hai pani ke dhare lekin in ankho ke aansu jaise pigle angare chinkh rahi hai sari dishaye, koi disha khamosh nahi dosh nahi hai tera lekin, phir bhi tu nirdosh nahi dub naa jayey dooniya teri aansu ki iss baarish men lagta hai tere dil aur aankhe dono hai iss sajish men