Kaliyug Ki Sita (2) Lyrics
kaliyug ki sita ki uljhan 
  haye mat puchh mere man varagi
  jivan bhar ka vanvas liya
  wo ram ke ghar ko bhi tayagi
  haye kaliyug ki sita ki uljhan 
  
  har kadam pe uska haran hua
  har mod pe rawan ko dekha
  har kadam pe uska haran hua
  har mod pe rawan ko dekha
  jab sayam ka dhiraz tuta
  khud langh chali lakshman rekha
  
  sari khushiyo ko taz bhagi 
  haye kaliyug ki sita ki uljhan 
  
  nakam hui badnam hui
  kal tak thi sharda ki murat
  nakam hui badnam hui
  kal tak thi sharda ki murat
  dar dar bhatki mari mari
  ashuvan me dub gayi surat
  
  phulo ke bistar pe jagi 
  haye kaliyug ki sita ki uljhan 
  wo ram ke ghar ko bhi tayagi
  haye kaliyug ki sita ki uljhan
                            
                            
                        