Kachhe Rang - Duet Lyrics
kacche rang utar jane do 
  mausam hai gujar jane do 
  kacche rang utar jane do 
  mausam hai gujar jane do 
  kacche rang utar jane do 
  mausam hai gujar jane do 
  kacche rang utar jane do 
  
  sisam ke patto pe pani
  bund bund bajta rahta hai
  barish bit bhi jaye to
  der talak tapka rahta hai
  bundo se bhigo dena
  barisho ki aadat thi
  barisho ki aadat hai
  ye bauchhar gujar jane do
  kacche rang utar jane do
  mausam hai gujar jane do 
  
  udte huye sukhe tinko ka
  jodna aur pirona kya
  andhe phulo ka shakho pe
  hona aur na hona kya
  rang badal lena mausamo ki aadat thi
  rang badal lena mausamo ki aadat hai
  shakhe khali kar jane do
  kacche rang utar jane do
  mausam hai gujar jane do 
  kacche rang utar jane do
  mausam hai gujar jane do 
  kacche rang utar jane do
  mausam hai gujar jane do 
  kacche rang utar jane do
                            
                            
                        