Mere Dil Mein Aaj Kya Hai Lyrics
mere dil me aj kya hai tu kahe to main bata du

  teri zulf phir sawaru teri mang phir saja du
  mere dil me aj kya hai tu kahe to main bata du
  
  mujhe devta banakar teri chahato ne puja

  mera pyar kah raha hai main tujhe khuda bana du

  mere dil me aaj kya hai tu kahe to main bata du
  
  koi dhundhne bhi aaye to hame na dhundh paye

  tu mujhe kahi chhupa de main tujhe kahi chhupa du
  tu mujhe kahi chhupa de main tujhe kahi chhupa du
  mere dil me aaj kya hai tu kahe to main bata du
  
  mere baazuo me aakar tera dard chain paye

  tere gesuo me chhupkar main jaha ke gam bhula du

  teri zulf phir sawaru teri maang phir saja du