Yar Teri Bewafai Ka Lyrics
yar teri bewafai ka hamko jara sa gum nahi
  yaha tere se hasin, tere se jawan kam nahi
  tu nahi mila, koi aur mil gaya
  dil nahi khila par dard khil gaya
  aur kuchh bhi sochte hai ham nahi
  yar teri bewafai ka hamko jara sa gum nahi
  yaha tere se hasin, tere se jawan kam nahi
  tu nahi mila, koi aur mil gaya
  dil nahi khila par dard khil gaya
  tu hai anjan, ham anjan nahi
  
  tujhko mubarak ho yeh naya naya pyar tera
  inse milo yeh mere naye dildar
  tujhko mubarak ho yeh naya naya pyar tera
  inse milo yeh mere naye dildar
  shikwa kare na shikayat kare
  chalo ham apni apni mohabbat kare
  woh hi sama par woh mausam nahi
  abb woh tum nahi, ab woh ham nahi
  yar teri bewafai ka hamko jara sa gum nahi
  yaha tere se hasin, tere se jawan kam nahi
  tu nahi mila, koi aur mil gaya
  dil nahi khila par dard khil gaya
  pyar shola hi hai, shabnam nahi
  
  hamne bhi tod di kasmo ko, waado ko
  bhul gaye ham bhi teri sab yaado ko
  hamne bhi tod di kasmo ko, waado ko
  bhul gaye ham bhi teri sab yaado ko
  tune yeh dil aise tod diya
  lekin hamne bhi hath tera chhod  diya
  tu hai udas, pareshan ham nahi
  tere jaise anjan nadan ham nahi
  yar teri bewafai ka hamko jara sa gum nahi
  yaha tere se hasin, tere se jawan kam nahi
  tu nahi mila, koi aur mil gaya
  dil nahi khila par dard khil gaya
  pyar shola hi hai, shabnam nahi
                            
                            
                        