December 2Nd, 1984 Lyrics
2 december 1984 ki us kaali raat ko bhopal mein aath hajar log mare gaye karib panch lakh log gas se pidit ho gaye aaj pandhra saal baad mritko ki sankhya sola hajar pahuch chuki hai aur ab bhi har mahine dus se pandhra log usi raat ki gas ke asar se marte hai industrial disaster ke itihas me hiroshima kehlane wala ye aatank aaj tak ka sabse bada narsanghar hai union ke vayraj bhi ye kahta hai ki ye narsanghar ek asantusht worker ka kukarm hai union ka baeet par ek hajar panch sau karod dollar ka daava hua tha par ab tak is rashi ka sirf teen pratishat paisa diya gaya hai bhopal ko aaj bhi talash hai kuchh nyaya ki