Bahaare Agar Tumse Daaman Bachaaye Lyrics
vabasta kabhi, jaamo subu se na hua kuchh fayada koyal ki bhi, ku se na hua aa kabr pe meri ke meraa jimma hai tu mast agar mitti ki bu se na hua paigaame ajal laayi thi laayi hogi tab gham ki ghata chhaayi thi chhaayi hogi ye jaam ye khushabu ye bahara ye sharab glushan me khija aayi thi aayi hogi bahaare agar tumse daaman bachaaye mere jakhm se taajagi maang lena bahaare agar tumse daaman bachaaye mere jakhm se taajagi maang lena agar tumse suraj kabhi ruth jaaye mere jaam se roshani maang lena bahaare agar tumse daaman bachaaye mere jakhm se taajagi maang lena gaya aake aangan se, khushbu kaa mausam ke mausam ko ek roj, jaana tha yun bhi gaya aake aangan se, khushbu kaa mausam ke mausam ko ek roj, jaana tha yun bhi abhi daaliyo par bahut phul honge kisi phul se dilkashi maang lena bahaare agar tumse daaman bachaaye mere jakhm se taajagi maang lena kabhi bojh gam ka, jo badh jaaye dil par to ro lena tanhaaiyo se lipat kar kabhi bojh gam ka, jo badh jaaye dil par to ro lena tanhaayiyo se lipat kar labo par kabhi aaye harfe shikaayat to divaar se khaamoshi maang lena agar tumse suraj kabhi ruth jaaye mere jaam se roshani maang lena bahaare agar tumse daaman bachaaye mere jakhm se taajagi maang lena ye lambi ghani raat kaise kategi sahaara to ek chaahiye zindagi ko ye lambi ghani raat kaise kategi sahaara to ek chaahiye zindagi ko agar shamma tumse kare bewafayi kisi saye se dosti mang lena agar tumse suraj kabhi ruth jaaye mere jaam se roshani mang lena bahaare agar tumse daaman bachaaye mere jakhm se taajagi maang lena bahaare agar tumse daaman bachaaye mere jakhm se taajagi maang lena