Mai Diwani, Mai Mastani Lyrics
main diwani, main mastani dil kisko dun, mujhko de
  rupnagar ki hun main rani dil kisko dun, mujhko de
  aise kaise main de dun ye dil to diwana hai
  ye jiske nam likha hai uska khajana hai
  kisi na kisi pe to aana hai
  main diwani, main mastani dil kisko dun, mujhko de
  rupnagar ki hun main rani dil kisko dun, mujhko de
  
  yahan pe saiyya, wahan pe saiyya, kitne saiyya ganv me
  baware hum baware, koyi bulaye pichhwade
  koyi kheto ki chanv me
  baware hum baware, baa ba ba ba baware
  aise kaise main aaun, uthati chingari hun
  hai daiyya ha re daiyya
  ab bhi kunwari hun, raja ki gali mujhe jana hai
  main diwani, mai mastani dil kisko du, mujhko de
  rupnagar ki hu main rani dil kisko dun, mujhko de
  
  chor, sipahiya, pandit, mukhiya har koyi siti maare hai
  maare hai hum maare hai
  jise main dekhu aankh ladake paisa mujhpe ware hain
  ware hai hum waare hai, ha ha ha ha haare hain
  aisi waisi nahi hun youwan ki masti hun
  badli hun sawan ki main chun ke barsati hun
  raja ki gali mujhe jana hai