Koi Chal Diya Akela Lyrics
koi chal diya akela koi rah gaya akela 
  koi chal diya akela koi rah gaya akela 
  arey zindagi ke malik tune kya ye khel khela 
  koi chal diya akela koi rah gaya akela 
  
  koi jal raha chita me koi dil jala raha hai
  koi hasrato ko lekar kahi dur ja raha hai
  kahi hichkiya bandhi hai kahi aasuo ka mela 
  koi chal diya akela koi rah gaya akela 
  
  o bani thi kal suhagan vahi bani aaj abhagan 
  ye sitam nahi to kya hai ke chhuta piya ka daman 
  aasman vale tera khub hai jhmela 
  koi chal diya akela koi rah gaya akela 
  
  hai isi ka naam kismat koi zindagi se haara 
  mile har kadam par thokar na mila kahi sahara 
  kahi raat hai andheri kahi saaz ki hai bela 
  koi chal diya akela koi rah gaya akela 
  
  arey zindagi ke malik tune kya ye khel khela 
  koi chal diya akela koi rah gaya akela 
  koi chal diya akela koi rah gaya akela
                            
                            
                        