Zara Zara Si Baate Lyrics

Haseen lamhen, shareer Lamhen sharmilen lamhen, Jhijkate lamhen pighalate Lamhen, dhadkate lamhen mohobbat me gujaren, ye tamam lamhen dil ki pagadndiyon par, apne pairon ke nishan chhod gaye hain mausam badalaten hain, hawaein chalati hain lekin ye nishaan na mitate hain na halake hote hain zara zara si baate, teri mujhako yaad aati hain mere dil ko tadapati Hain, raaton me zara zara si baate, beete lamhen le aati hain tasawiren si ban jaati hain, aankhon mein zara zara si baatein koi banake bahana, mere ghar ko tera aana har shaam milane ke liye o halken gulaabi the wo, jo phul tune mujhako ek roz lake the diye aur ab phulon ki khushabuye jo kahin aati hain mujhako tanha kar, jaati hain rahon me zara zara si baate, teri mujhako yaad aati hain mere dil ko tadapati Hain, raaton me zara zara si baate dariya kinaren the ham saanse thee maddham maddham chhitaki huyi thi chandani aa saahil pe aati leharen, thi jaise gaati laharein anjaani koi raagini aur ab saahil pe, gaati leharen jo aati hain tufaan jaise wo laati hain, yaadon me zara zara si baate, teri mujhako yaad aati hain mere dil ko tadapati Hain, raaton me zara zara si baate, beete lamhen le aati hain tasawiren si ban jaati hain, aankhon mein zara zara si baaten zara zara si baaten