Dil Mujhse Juda Kyu Hua Lyrics
dil mujhse juda kyu huwa, ye tujhpe fida kyu huwa
  nam tera hi lene laga, ye divana sa kyu huwa
  roka ise mana nahi, tera hona tha ho gaya
  
  yad teri kyu aane lagi, jan meri kyu jane lagi
  ankh meri kyu rone lagi, ruh meri kyu gane lagi
  nagme wafa ke ji bharke ga le, ashko se dil ki aag bujha le
  nagme sunaunga, jhum ke gaunga, tumse karunga wafa
  
  dil na jane kehta hai kyu, nam tera hi likhta rahu
  tu mujhko bas itna bata, pyar tera kahan main rakhu
  ankho me rakh le dil me chhupa le, mujhko churake apna bana le
  apna banaunga tujhko le jaunga, sun le meri dilruba
  
  raat ruk ruk ke dhalne lagi, chand ruk ruk ke chalne laga
  ye rim jhim ki pehli ghata, kyun parvat pe chhaya nasha
  teri mohabbat bikhari huyi hai, har cheez dekho nikhari huyi hai
  madhosh karti hai jhum ke chalti hai, inn vadiyo me hawa
  
  sun kudrat ki dhadkan ko sun, phir chahat ke khwabon ko bun
  pyar mera ye hoga na kam, main tera rahunga sanam
  sapno ki duniya aja basaye, chahat ke rango se usko sajaye
  ab kaisa darna, vada ye karna, milke na honge juda
  
  dil mujhse juda kyun huwa, ye tujhpe fida kyun huwa
  naam tera hi lene laga, ye diwana sa kyu huwa
  roka isse mana nahi, tera hona tha ho gaya
  tera hona tha ho gaya
                            
                            
                        