Nasha Hi Nasha Hai Lyrics
nasha hi nasha hai sama pyar ka hai 
  yaha se waha se dil tod kar 
  mujhe chhod kar chale haa kahan 
  nasha hi nasha hai sama pyar ka hai 
  
  lachakti hui gesuo ki ghataein 
  zara inke saye me ji kar to dekho 
  lachakti hui gesuo ki ghataein 
  zara inke saye me ji kar to dekho 
  gulabi labo pe chalakte ye pyale 
  kabhi ek do jaam pi kar to dekho 
  haan pikar to dekho yun ji kar to dekho 
  chale aur kaha nasha hi nasha hai sama pyar ka hai 
  
  hawao me chahat ki khusbo ghuli hai 
  mohobat ka mausam bahare jawa hai 
  hawao me chahat ki khusbo ghuli hai 
  mohobat ka mausam bahare jawa hai 
  kabhi bhi kisi ka koi dar nahi hai 
  yaha mai hu tum ho ye tanhaiyaan hai 
  bahare jawan hai ye tanhaiyan hai 
  chale aur kaha nasha hi nasha hai sama pyar ka hai 
  
  bahut din se pyasi hai dil ki tamanna 
  khilona banake na yu dil se khelo 
  bahut din se pyasi hai dil ki tamanna 
  khilona banake na yu dil se khelo 
  ye shole jawa dhadkano me dabake 
  na yu door jao meri jaan le lo 
  na yu dil se khelo mei jaan le lo 
  chale aur kaha nasha hi nasha hai sama pyar ka hai