Maine Yeh Kya Kiya Piya Lyrics
dil ne tujhko jo pa liya sama liya chhupa liya piya
  jisase shikva gila kiya usko dil me basa liya
  hay maine yeh kya kiya piya
  
  hasna mujhko sikha diya hasa diya rula diya piya
  iss kalee ko khila diya mujhko mujhse mila diya
  hay tune yeh kya kiya piya
  
  abb toh sapna chura liya saja liya jata liya piya
  rog kaisa laga liya dil me dard jaga liya
  hay maine yeh kya kiya piya
  
  fasalo ko ghata liya duriyo ko mita liya
  hay maine yeh kya kiya piya
                            
                            
                        