Jang To Chand Roz Hoti Hai Lyrics

jang to chand roz hoti hai jang to chand roz hoti hai zindgi barso talak roti hai sannaate ki gahri chhav khamoshi se jalte paav ye nadiyo par tute hue pul dharti ghayal hai vyaakul ye khet bamo se jhulse hue ye khaali raste sahme hue ye maatam karta sara samaa ye jalate ghar ye kala dhua ye jalate ghar ye kala dhua ho ho ho mere dushman mere bhai mere hamasae mere dushman mere bhai mere hamasae mujhse tujhse ham dono se ye sun ye pathar kuch kahte hai barbadi ke sare manzar kuchh kahte hai haay mere dushman mere bhai mere hamasae ho ho ho barud se bojhal sari fiza hai maut ki bu phailati hava zakhmo pe hai chhai lachari, galiyo me hai phirti bimari ye marte bachche hatho me, ye maao ka rona rato me murda basti murda hai nagar chehre patthar hai dil patthar chehre patthar hai dil patthar mere dushman mere bhai mere hamasae mere dushman mere bhai mere hamasae mujhse tujhse ham dono se ye sun ye pathar kuch kahte hai barbadi ke sare manzar kuchh kahte hai haay mere dushman mere bhai mere hamasae ho ho ho mere dushman mere bhai mere hamasae chehro ke dilo ke ye pathar ye jalte ghar barbadi ke sare manzar sab mere nagar sab tere nagar ye kahte hai is sarhad par phunkarega kab tak nafrat ka ye ajagar kab tak nafrat ka ye ajagar is sarhad par phunkarega kab tak nafrat ka ye ajagar ham apane apane kheto me gehu ki jagah chaval ki jagah ye bandukhe kyo bote hai jab dono hi ki galiyo me kuchh bhukhe bachche rote hai kuchh bhukhe bachche rote hai aa khaye kasam ab jang nahi hone paye aur us din ka rasta dekhe jab khil uthe tera bhi chaman jab khil uthe mera bhi chaman tera bhi vatan mera bhi vatan mera bhi vatan tera bhi vatan tera bhi vatan mera bhi vatan ho ho ho mere dost mere bhai mere hamasae mere dost mere bhai mere hamasae ho ho ho