Main Aur Meri Aawargi Lyrics

phirte hain kab se darbadar ab is nagar, ab us nagar ek doosre ke humsafar main aur meri awargi, main aur meri awargi main aur meri awargi, main aur meri awargi na ashna har rehguzar na meherban har ek nazar jaye to ab jaane kidhar main aur meri awargi, main aur meri awargi main aur meri awargi, main aur meri awargi hum bhi kabhi aabad the aise kahan barbaad the hum bhi kabhi aabad the aise kahan barbaad the befikr the aazad the befikr the aazad the masroor the dilshad the masroor the dilshad the wo chal aisi chal gaya hum bujh gaye, dil jal gaya nikle jala kar apna ghar main aur meri awargi, main aur meri awargi main aur meri awargi, main aur meri awargi wo maahevash wo maaheru wo maahekaamil hubahu wo maahevash wo maaheru wo maahekaamil hubahu thi jiski baate kubaku thi jiski baate kubaku usse ajab thi guftgu usse ajab thi guftgu phir yu hua wo kho gayi aur mujhko zid si ho gayi layenge us ko dhundh kar main aur meri awargi, main aur meri awargi main aur meri awargi, main aur meri awargi ye dil hi tha jo seh gaya wo baat aisi keh gaya ye dil hi tha jo seh gaya wo baat aisi keh gaya kehne ko phir kya reh gaya kehne ko phir kya reh gaya ashqo ka dariya beh gaya ashqo ka dariya beh gaya jab keh ke wo dilbar gaya tere liye main mar gaya rote hain usko raat bhar main aur meri awargi, main aur meri awargi main aur meri awargi, main aur meri awargi ab gham uthaye kisliye aansu bahaye kisliye ab gham uthaye kisliye aansu bahaye kisliye ye dil jalaye kisliye ye dil jalaye kisliye yu jaan gawayein kisliye yu jaan gawayein kisliye pesha na ho jiska sitam dhundhenge ab aisa sanam honge kahin to kaargar main aur meri awargi, main aur meri awargi main aur meri awargi, main aur meri awargi aasar hain sab khot ke insaan hain sab chot ke aasar hain sab khot ke insaan hain sab chot ke ghar band hain sab koth ke ghar band hain sab koth ke ab khatam hai sab totke ab khatam hai sab totke qismat kaa sab yeh pher hai andher hai andher hai aise hue hain beasar main aur meri awargi, main aur meri awargi main aur meri awargi, main aur meri awargi jab humdam wo humraaz tha tab aur hi andaaz tha jab humdam wo humraaz tha tab aur hi andaaz tha ab soz hai tab saaz tha ab soz hai tab saaz tha ab sharm hai tab naaz tha ab sharm hai tab naaz tha ab mujhse ho to, ho bhi kya hai sath wo, to wo bhi kya ek behunar ek besabar main aur meri awargi, main aur meri awargi main aur meri awargi, main aur meri awargi phirte hain kab se darbadar ab is nagar, ab us nagar ek doosre ke humsafar main aur meri awargi, main aur meri awargi main aur meri awargi, main aur meri awargi main aur meri awargi, main aur meri awargi main aur meri awargi, main aur meri awargi