Ek Bhakth Ki Bhakti Ne Dekho Lyrics
ek bhakt ki bhakti ne dekho prithvi par swarg utar liya bhagwan wahi karte hai yaha jo man me unhone dhar liya kitni hi baar dayanidhi ne kitni hi baar dayanidhi ne sansar ko aake ubar liya jab jab dharti par dharm ghata tab tab prabhu ne avtaar liya karo hari darshan, hari darshan karo hari darshan karo hari darshan ab tak leela wa ki dekho prabhu brahman ki jhanki dekho brahman ne bali ki pariksha li bhagwan hokar bhi bhiksha li phir dattare avtaar hua sare jag ka udhar hua mata ansuya dhnay huyi mata ansuya dhnay huyi satiyo me sati ananay huyi satiyo me sati ananay huyi jab jag me paap prachand badha anyay badha pakhand badha tab karne ko leela lalaam prakate prithvi pe prashuram prabhu prashuram ikkis baar shatriy maare kar diye nashat paapi sare phir treta me prabhu ram huye unke dwara kai kaam huye hanuman unpe aashakt huye raghupati ke anupam bhakt huye sita apman ka badla ram ne jakar sagar paar liya jakar sagar paar liya jab jab dharti par dharm ghata tab tab prabhu ne avtaar liya karo hari darshan, hari darshan karo hari darshan karo hari darshan phir rishav dev avtaar huye ye mukti ke aadhar huye inko tum tirthan kar jano tribhuvan ke mangal gar mano phir dwapar me nandlala janme bas gaye wo jan jan ke man me duniya ko inhi ne di geeta aur karam yog se jag jeeta phir jag me vedvyas aaye bhandar gyan ka munivar laye mahabharat aur bhagwat rachi jan sadaran ko bahut jachi jan sadaran ko bahut jachi phir sudh budh avtaar huye darshan se mugdh sansar hua wo shanti dut bankar aaye aur mantr ahinsa ka laye ab ant me kalki janmenge, janmenge dushto se wo badla lenge, badla lenge kalyug badlega satyug me sansar jeeyega navyug me manav ke liye nij maathe pe har yug me hari ne bhar liya har yug me hari ne bhar liya jab jab dharti par dharm ghata tab tab prabhu ne avtaar liya karo hari darshan, hari darshan karo hari darshan karo hari darshan hari darshan hari darshan