Bakre Wala Ye Baba Hidayat Kare Lyrics
bakre wala ye baba hidayat kare bakre wala ye baba hidayat kare chandu khane me aana buri bat hai, buri bat hai aa gaye to baitho ghadi do ghadi aake yu laut jana buri bat hai bakre wala ye baba hidayat kare bakre wala ye baba hidayat kare chandu khane me aana buri bat hai bakre wala chandu khane se aayi hai taja khabar aaj taja khabar, taja taja khabar chandu khane se aayi hai taja khabar ab na aapas me jhagda karenge bashar jis kabar me koi dam na ho wo khabar jis kabar me koi dam na ho wo khabar dum lagake udana buri bat hai bakre wala ye baba hidayat kare barabar pio hum barabar pilaye na tum baj aao na hum baj aaye barabar pio hum barabar pilaye na tum baj aao na hum baj aaye nasha koi bhi nahi aisa is jamane me ke jo nasib na ho mere chandu khane me bakre wala ye baba to mashahur hai are pine wala bhi aadat se majbur hai tum ko lat, oji punjabi me lat laat ko bolte hai lekin is lat ka matlab hai aadat yahi bakre wala baba ka kalam hai tumko lat pad gayi hai to ye lat kisi tumko lat pad gayi hai to ye lat kisi dusre ko lagana buri bat hai bakre wala ye baba hidayat kare hoge gumrah to gumsum bhi ho jaoge hoge gumrah to gumsum bhi ho jaoge chandu pike aaundhe ho ke so jaoge chandu pike aaundhe ho ke so jaoge chandu khane ko hi apna ghar jankar chandu khane ko hi apna ghar jankar apne ghar ko na jana buri bat hai bakre wala ye baba hidayat kare hai kaun sa daman jo daagdaar nahi hai kaun sa daman jo daagdaar nahi hai kaun jispe koi bhi nasha sawar nahi hai kaun jispe koi bhi nasha sawar nahi taskeen dil ke waste thoda sa lijiye hum jaante hai aapse jhela naa jaayega thoda lete ho lo tazurbe ke liye thoda lete ho lo tazurbe ke liye warna pina pilana buri bat hai bakre wala ye baba hidayat kare abhi umar hai kam, masum hai ye itna na pila ke ye aa na sake aa jaye to inko aise fasa kahi dur ye tujhse ja na sake bakre wala ye baba hidayat kare are chandu khane me aana buri bat hai aa gaye to baitho ghadi do ghadi aake yu laut jana buri bat hai ye to meri nasihat thi or agar tum log nahi maanoge to phir mera dawa suno bakre wale baba ka dawa, suno gaur se kabhi tumko rakhunga makkhi bnanakar kabhi main udaunga machhar banakar yahi par gutar gu, gutar gu karoge rakhunga mai tumko kabutar banakar ye hai mere dawa ho mere dawa bakre wala baba ho tera dawa ye hai mere dawa ho mere dawa bakre wala baba ho tera dawa jo ho accha khasa to bimar kar du tujhe jindagi bhar ko bekar kar du are bujurgo ne jo jindagi ki dua di wo rah jayegi chandu khaane me aadhi ye hai mere dawa ho mere dawa bakre wala baba ho tera dawa ye hai mere dawa ho mere dawa bakre wala baba ho tera dawa baitha rahega jaise ullu ho kat ka aye na mere ghar ka rahega na ghat ka ye hai mere dawa ho mere dawa bakre wala baba ho tera dawa ye hai mere dawa ho mere dawa bakre wala baba ho tera dawa mod kar muh jamane ki raftar se are jindagi aa mere sath chhod de tujhko itna jahrila bana dunga mai saanp ko kat le saanp dum tod de