Chanchal Chudiyaan Khanakaa Ke Lyrics
chanchal chudiya khanka ke, mehandi hatho me racha ke
  chanchal chudiya khanka ke, mehandi hatho me racha ke
  jhumar mathe pe saja ke, ghughta laaj ka gira ke
  maike ki gali chhod  ke 
  tujhe jana hoga, tujhe jana hoga

  laao sakhi laao joda suhag, lado ko saja de ham pyar se
  pairo me laga de haldi mahavar, mukhda chamka de shringar se
  phulo si javani pe, vo lalchayenge
  dekhenge to dulhe raja, lut jayenge
  
  chanda si bindiya chamka ke, baalo me gajra mahka ke
  jhumar mathe pe saja ke, ghughta laaj ka gira ke
  maike ki gali chhod  ke 
  tujhe jana hoga, tujhe jana hoga
  tujhe jana hoga, tujhe jana hoga
  
  panchhi pardesi har ladki bahna, kisi ko hamesha yaha rahna nahi
  dharti ke jaise har dard sahna, kisi se kabhi kuchh kahna nahi
  saye me piya ke, ab jina marna 
  maike valo ka, na sir niche karna
  sapne palko pe basa ke, saiya ji ka dil chura ke
  jhumar mathe pe saja ke, ghughta laaj ka gira ke
  maike ki gali chhod  ke 
  tujhe jana hoga, tujhe jana hoga
  tujhe jana hoga, tujhe jana hoga