Soorajmukhi Tera Pyar Anokha Hai Lyrics

?soorajmukhi, soorajmukhi tera pyar anokha hai har subah ko khilna hai har shaam ko murjhana hai suraj ne kya tere is marm ko jana hai ye kaisa rishta hai ye kaisa nata hai, soorajmukhi suraj ki kirne ye sunahri jab karti tera aalingan komal komal pankhadiyo me bhar jata hai madhur spandan jaise aasha ki kirno ka preet bhara nirmal abhinandan mahka deta man aangan me saanso ki sargam ka chandan neh nimantaran pakar jivan jyot jala kar kirno ke sahare tera ye jivan chal padta hai ye kaisa rishta hai ye kaisa nata hai, soorajmukhi pyase andhero par anjane me koi geet jo pyar ke aa jaye man ko chhukar dard ka jhonka ye asq bane nas nah me sama jaye jaise shabnam se bheege phoolo ka anchal kora koi kiran shala jaye dard ko yu sahla kar man ko yu bharma kar kirno ke sahare tera ye jivan chal padta hai ye kaisa rishta hai ye kaisa nata hai, soorajmukhi gahan andheri raaho me kyon sath ye kirne chhod gai hain in modo par deep ki dori ka ye bandhan tod gai hain jivan ke upvan ka malik tab na raha koi bagiya me kaun tere is maun prashn ka uttar dega is duniya me todke pyara sapna sukh samet kar apna kyun chhod ye sath adhura ye jivan chal padta hai ye kaisa rishta hai ye kaisa nata hai, soorajmukhi soorajmukhi tera pyar anokha hai har subah ko khilna hai har shaam ko murjhana hai suraj ne kya tere is marm ko jana hai ye kaisa rishta hai ye kaisa nata hai, soorajmukhi