Waqt Ka Ye Parinda Ruka Hai Kahan Lyrics
sakt raahon me bhi aasaan safar lagta hai ye meri maa ki duaao ka asar lagta hain sakt raahon me bhi aasaan safar lagta hai ye meri maa ki duaao ka asr lagta hain gher lene ko mujhe jab bhi balaaye aa gayi dhaal bankar saamne, maa ki duaaye aa gayi bujrgu ki jaha par log ijjat chhod dete hain bujrgu ki jaha par log ijjat chhod dete hain farishton un gharo ki, fir hifajat chhod dete hain waqt ka ye parinda ruka hain kahan main tha pagal jo usko bulata raha chaar paise kamane main aaya sheher gaaon mera mujhe yaad aata raha gaaon mera mujhe yaad aata raha waqt ka ye parinda ruka hain kahan lauta tha main jab pathshal sa ghar apne hatho se khana khilati thi maa lauta tha main jab pathshal sa ghar apne hatho se khana khilati thi maa raat me apni mamta ke aanchal tale thapkiyaa deke mujhko sulati maa soch ke dil me ek teesh uthati rahi raat bhar dard mujhko jagata raha chaar paise kamane main aaya sheher gaaon mera mujhe yaad aata raha gaaon mera mujhe yaad aata raha waqt ka ye parinda ruka hain kahan sabki aankhon me aansu chhalk aaye the jab ravana hua tha sheher ke liye sabki aankhon me aansu chhalk aaye the jab ravana hua tha sheher ke liye kuch ne maangi duaaye ke main khush rahun kuch ne mandir me jaikar jalaye diye ek main banuga bada aadmi ye tashvoor unhe gud gudata raha chaar paise kamane main aaya seher gaaon mera mujhe yaad aata raha gaaon mera mujhe yaad aata raha waqt ka ye parinda ruka hain kahan maa ye likhati hain harbaar khat me mujhe maa ye likhati hain harbaar khat me mujhe laut aao mere bete tujhe hain kasam tu gaya jabse pardesh bechain hun nind aati nahi bhukh lagti hain kam kitana chaha na rou magar kyaa karun khat meri maa ka mujhko rulata raha chaar paise kamane main aaya seher gaaon mera mujhe yaad aata raha gaaon mera mujhe yaad aata raha gaaon mera mujhe yaad aata raha