Purab Se Ik Pyara Jhonka, Vatan Ke Fasane Lyrics
purab se ik pyara jhoka pavan udakar layi
  aaj achanak dilbar aaya yaad watan ki aayi
  watan ke fasane watan ki kahani
  watan ke fasane watan ki kahani
  stane lagi hai vo yade purani
  vo yade purani
  watan ke fasane watan ki kahani
  watan ke fasane watan ki kahani
  
  mera ek nanha sa beta tha pyara
  mera ek nanha sa beta tha pyara
  kabhi usko dekha nahi phir dobara
  kisi hadse me vo gum ho gaya tha
  achanak kahi bhid me kho gaya tha
  achanak kahi bhid me kho gaya tha
  liye ghumta hu mai uski nishani
  liye ghumta hu mai uski nishani
  watan ke fasane watan ki kahani
  watan ke fasane watan ki kahani
   
  tadpati rahi meri biwi bechari
  tadpati rahi meri biwi bechari
  kai saal karti rahi intzar
  watan chhod kar aisa pardesh aaya
  bahut der usko na mai dekh paya
  bahut der usko na mai dekh paya
  badal gayi budhape me uski javani
  badal gayi budhape me uski javani
  watan ke fasane watan ki kahani
  watan ke fasane watan ki kahani
  
  mai roti huyi apni ma chhod  aaya
  mai roti huyi apni ma chhod  aaya
  mai mamta bhara uska dil tod aaya
  na pardesh ja tu mujhe tokati thi
  vo ro ro ke rasta mera rokati thi
  vo ro ro ke rasta mera rokati thi
  magar ek bhi uski maine na mani
  magar ek bhi uski maine na mani
  watan ke fasane watan ki kahani
  watan ke fasane watan ki kahani
                            
                            
                        