Kya Kare Kya Na Kare Lyrics
kya karein kya na karein ye kaisi mushkil hay
  koi to bata de iska hal o mere bhai
  ki ek taraf to usse pyaar karein hum
  aur usko hi ye kehne se darrein hum
  kya karein kya na karein ye kaisi mushkil hay
  koi to bata de iska hal o mere bhai
  ki ek taraf to usse pyaar karein hum
  aur usko hi ye kehne se darrein hum
  
  roz roz hum sochta yehi
  aaj humko vo agar mil jaaye kahin
  to aisa bolega saala vaisa bolega
  khullam khulla uspe dil ka raaz hum kholega
  vo saamne chamakti hai saans hi atakti hai
  aur ye zubaan jaati hai fisal
  
  to kya karein kya na karein ye kaisi mushkil hay
  koi to bata de iska hal o mere bhai
  ki ek taraf to usse pyaar karein hum
  aur usko hi ye kehne se darrein hum
  
  koi badi baat nahin humein kehna tha jo bhi
  vo to hum yoonhi kehte magar
  phir bhi kaha nahin vajah iski hai yehi
  bas inkaar se humko tha darr
  ab kahein ya na kahein
  ki haan kahein na kahein
  soch soch mein hi vo gayi nikal
  
  to kya karein kya na karein ye kaisi mushkil hay
  koi to bata de iska hal o mere bhai
  ki ek taraf to usse pyaar karein hum
  aur usko hi ye kehne se darrein hum
                            
                            
                        