Hume To Lut Liya Mil Ke Husn Walo Ne Lyrics
hume to lut liya mil ke husn walo ne kale kale balo ne gore gore galo ne hume to lut liya mil ke husn walo ne kale kale balo ne gore gore galo ne nazar me shokhiya aur bachpana shararat me adaye dekh kar hum fas gaye mohabbat me hum apni jaan se jayenge jinki ulfat me yakin hai ke na aayenge wo hi mayit me khuda sawal karega agar kayamat me to hum bhi kah denge hum lut gaye sharafat me hume to lut liya mil ke husn walo ne kale kale balo ne gore gore galo ne wahi wahi pe kayamat ho wo jidhar jaye jhuki jhuki nazro se kam kar jaye tadapta chhod de raste me aur gujar jaye sitam to ye hai ki dil le le aur mukar jaye samjh me kuch nahi aata ke hum kidhar jaye yahi irada hai ke ye kah ke hum to mar jaye hume to lut liya mil ke husn walo ne kale kale balo ne gore gore galo ne wafa ke naam pe mara hai bewafao ne ke dam bhi humko na lene diya jafao me khuda bhula diya in husn ke khudao ne mita ke chhod diya ishq ki khatao me udaye hosh kabhi julf ki hawao ne khayale naz ne luta kabhi adao ne hume to lut liya mil ke husn walo ne kale kale balo ne gore gore galo ne hajar lut gaye nazar ke ek ishare par hajaro bah gaye tufan banke dhare par na inke wado ka kuch thikana hai na bato ka fasana hota hai inka hajar rato ka bahut hasin hai vaise to bholpan inka bhara hua hai magar zahar se badan inka ye jisko kat le wo pani pi nahi sakta dava to kya hai duva se bhi ji nahi sakta inhi ke mare hue hum bhi hai zamane me hai char labaz mohabbat ke is fasane me hume to lut liya mil ke husn walo ne kale kale balo ne gore gore galo ne hume to lut liya mil ke husn walo ne kale kale balo ne gore gore galo ne zamana inko samjhata hai nek bharmaasu magar ye kahte hai kisi ko kya hai malum inhe na tir na talwar ki jarurat hai shikar karne ko kafi nigahe ulfat hai hasin chal se dil paymal karte hai nazar se karte hai bate kamal karte hai har ek bat me matlab hajar hote hai ye sidhe sadhe bade hoshiyar hote hai khuda bachaye hasino ki tez chalo se pade kisi ka bhi na pala husn walo se hume to lut liya mil ke husn walo ne kale kale balo ne gore gore galo ne hume to lut liya mil ke husn walo ne kale kale balo ne gore gore galo ne husn walo me mohabbat ki kami hoti hai chahne walo ki takdir buri hoti hai unki bato me banawat hi banawat dekhi sharam aankho me nigaho me lagawat dekhi aag pahle to mohabbat ki laga dete hai apne rukhsar ka diwana bana dete hai dosti karke phir anjan nazar aate hai sach to ye hai ke beiman nazar aate hai maut se kam nahi duniya me mohabbat inki zindagi hoti hai barbad badaulat inki din baharo ke gujarte hai magar mar mar ke lut gaye hum to hasino pe bharosa karke hume to lut liya mil ke husn walo ne kale kale balo ne gore gore galo ne