Ik Chiz Mangate Hain Kya Lyrics
ik chiz maangte hai kya
  ik chiz maangte hai hum tumse pahli baar
  ik chiz maangte hai hum tumse pahli baar
  
  pehle chiz ka nam batao
  dekho hum par shak na lao
  ulati sidhi chiz kabhi na maange sachcha pyar
  ik chiz maangte hai hum tumse pahli baar
  ik chiz maangte hai 
  
  achhi si farmayish karna
  sunne se pahle kya darna
  maango baba kuchh bhi maango, maangu ha ha
  dil par rakh kar hath karo pahle humse ikrar
  ik chiz maangte hai hum tumse pahli baar
  ik chiz maangte hai 
  
  ae ae, bolo
  maangu chhota sa nazrana, haye itna lamba afsana
  maangu chhota sa nazrana, haye itna lamba afsana
  jaldi se kah do, kah to raha hu
  are jaldi se kah do, are kah to raha hu
  raat ko khidki khol ke rakhna, haay raam tum aaoge
  ha ha ha raat ko khidki khol ke rakhana
  do naino se bol ke rakhna, aage bolo yahi
  aaye mere sapne to ye kar na de inkar
  ik chiz mangte hai hum tumse pahli baar
  ik chiz mangte hai 
  
  ha ha khuli khuli is julfo ka saya 
  maangu to kya dogi, ha ha bas 
  rang rup ka ye saramaya 
  mangu to kya dogi, na na na 
  kaho tumhari baaho me main 
  rah sakta hu, abhi nahi
  kya in hotho ko main apna 
  kah sakta hu, u hu abhi nahi
  abhi nahi abhi nahi abhi nahi
  abhi nahi ki jane kis din tutegi deewar
  ik chiz mangte hai hum tumse pahli baar
  
  ik chiz mangate hai hum tumse pahli baar
  pehle chiz ka nam batao
  dekho hum par shak na lao
  ab jo milna achchha ji 
  ab jo milna bandh ke sehara hi milna sarkar
  to agale itvar, ji sarkar
                            
                            
                        